Album:Haider - EP
Artists:Rekha Bhardwaj
Duration:04:15
Lyrics
Aaj Ke Naam, Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam
Aaj Ke Ghum Ke Hai Zindagi Ke Bhare
Gulistan Se Khafa Zard Patton Ka Ban
Zard Patton Ka Ban, Jo Mera Desh Hai
Dard Ki Anjuman, Jo Mera Desh Hai
Unn Dukhi Maaon Ke Naam
Unn Dukhi Maaon Ke Naam
Raat Mein Jinke Bachche Bilakhte Hai
Aur Neend Ki Maar Khaaye Huye
Baajuon Se Sambhalte Nahi
Dukh Batate Nahi,
Minnat O Zaariyon Se Behalte Nahi
Unn Haseenaon Ke Naam
Unn Haseenaon Ke Naam
Jinki Aankhon Ke Gul,
Chilmanon Aur Dareecho Ke Belon Pe
Bekar Khil Khil Ke Murjha Gaye Hai
Unn Byaahtaon Ke Naam
Unn Byaahtaon Ke Naam
Jinke Badan Be Mohabbat Riyaatar Se
Jo The Saj Saj Ke Ukta Gaye Hai
Bewaaon Ke Naam,
Katadiyon Aur Galiyon, Mohallon Ke Naam
Jimke Naapaak Khashaak Se,
Chand Raatin Ko Aake, Karta Hai Aksar Vazoo
Jinke Saayon Mein Karti Hai Aahob Ka
Aanchalon Ki Hina, Choodiyaan Ki Khanak
Kaakulon Ki Mehak
Aarzoo Mand Seeno Ki,
Apne Pasine Mein, Jalne Ki Boo
Padhne Waalon Ke Naam
Aaj Ke Naam, Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam
Unn Dukhi Maaon Ke
Unn Haseenaon Ke
Unn Byaahtaon Ke Naam.
Aaj Ke Naam Song Mp3 Download
0 Comments